How To Get More Organic Traffic ?

Shubham Garg
Shubham Garg
from Ghaziabad
7 years ago

Hi everyone , this is my tech blog (https://www.shubz.in/). I have been struggling to get more organic veiws on it.

Ho much time does it take for a blog like this to start getting organic views ?

Any suggestions are welcome , thanks.

Replies 1 to 3 of 3 Descending
Md qureshi
Md qureshi
from Indore
7 years ago

1. Make Your Post Evergreen

Title padhkar aap soch rahe honge ki post ko evergreen kaise banana hai. Toh ye koi mushkil kaam nahi hai. Bahut si post aisi hoti hain jo purani hoti jaati hai jis par ham dhyaan nahi dete hain.

Un post ko dekhiye or unhe interlink karna start kijiye. Social media par share kariye. Agar aap bhi meri tarha busy rehte hain or post ko social media par share karne ka time nahi hai toh aap post ko automatic bhi share kar sakte hai kaise jaanne ke liye ye post padhe. Ifttt se post ko automatically kaise share karte hain. Fir dekhiye kaise apki post evergreen ho jaati hai or blog traffic increase hone lagta hai.

2. Write Trending Post

Blog traffic increase karne ki best way hai aisy post likhna jo trending ho. Ab ham kaise pata kare ki trend kya hai.

Trending keywords pata karne ke liye aap adwords keyword planner tool use kar sakte ho. Google search me 1 ya 2 keywords type kare Google us keyword se related long tail keyword apko bata dega. Iske liye ham Google trends ka use bhi kar sakte hain jo hame last 7 days se pichhle 5 saal tak ka trend bata deta hai.

3. Get Traffic From Alexa

Ab aap fir soch rahe honge ki alexa se traffic increase kaise hoga. Of course yes alexa bhi apke blog ka traffic badhane me help karta hai.

Alexa ke baare me toh ham jaante hai or koshish bhi karte hain ki alexa rank kaise improve kare. Lekin alexa ki help se ham traffic kaise badha sakte hain ye shayad hame pata nahi hota hai.

Aapke saamne jo page khulega usme apke blog ki ranking ke saath neeche ye bhi detail hogi ki kitna percent traffic apko kis organic keyword se mil raha hai. Bus hame ye karna hai ki us keyword ko lekar or jyaada detail ke saath new post likhna hai.

4. Use Yahoo Answers

Blog par traffic increase karne ke liye Quora ki tarha ye bahut hi magical site hai. Lakhon log daily yahoo par apne question post karte hain.

Apko ye karna hai ki apne blog ki niche se related questions yahoo par search karna hai or unke answers dena hai. Yahoo answers se blog traffic kaise divert karte hain detail me janne ke liye aap mere blog par post padh sakte hain.

5. Social Media Strategy

Blog traffic increase karne ke liye ye sabse smart tarika hai. Kyonki social media ke jariye ham easily or instant blog traffic increase kar sakte hain.

Kam se kam 5 social media plateform se start kare. Facebook, Twitter, Google Plus, Pinterest, Stumbleupon par apne blog related account banakar post share kare or dekhe ki kiska result achha aa raha hai.

Jis bhi social network se response mil raha hai unme se top 3 par time dena start kare. Kam se kam 1 hour daily concentrate kare, result milne lagega.

 

 

 

Rahul Tiwari
Rahul Tiwari
from Delhi
7 years ago

Hello Shubham, Kaise ho aap?

Sabse pahle mai aapko ye batana chahunga ki aap apne Site ka domain .in se .com me convert kar do, Aisa karne se aapko bahut fayda milega. Alexa bhi jab hamare blog ko analyze karta hai to vo country wise domain ke anusar hamare Site ko rank deta hai matlab agar India me hamara site open hoga to .in domain hoga wahi USA me open hoga to .us likha aayega lekin agar aap .com me convert kar denge to pure world me kahi bhi hamari site open hogi to .com hi likhi aayegi jisse hamare Site ki Alexa Ranking bhi achchi hogi jiska fayda hame search me bhi milega. Apne Site ko .in se .com par kaise shift kare ye janne ke liye mera ye post jarur padhiyega.

https://internethindime.blogspot.com/2017/02/blogspot-ka-country-specific-redirect.html

 

Iske alawa aapko Apne Site ka On-Page SEO aur Off-Page SEO karna hoga, issey bhi aapke site ki Search Engine me rank achchi hogi jisse aapka Site Search me upar aayega jiska fayda aapko jyada traffic ke rup me milega.

SEO, On-Page SEO, Off-Page SEO kaise kare iske link mere Indiblogger profile me diye gaye hain. Aap mere blog https://internethindime.blogspot.com par jakar bhi ye post padh sakte hain.

Ek baat hamesa yaad rkhiyega, Ek din me kuch nahi hota. Aapko lagatar is par mehnat karni hogi tab jakar 1-2 mahine me aapke site ka traffic aapke anusar ho payega. Happy Blogging.

Karthik Murali H
from Chennai
7 years ago

Please dont post your blog links.. Its against forum rules

HR
from Bangalore
7 years ago

@Karthik, you are really caring the Forum, and you supposed to be IndiPolice to remove the link/s and guide, seriously Laughing.

Karthik Murali H
Karthik Murali H
from Chennai
7 years ago

@shubam garg: there's a blog reviews section which helps you to get detailed feedback on your blog, than this forum


LockSign in to reply to this thread